aaj jab likhne betha hu to sochta hu ki kya likhu.
jab sochta hu to man me vichar badlon ki tarah aate hai aur saawan ki baarish ki tarah mere antarman ko sarabore kar dete hai. par jab unhi vicharo ko likhna chahta hu to.........
aakir aisa kyu hota hai ki aap jeevan ke unhi panno ko shabd nahi de paate jin ke baare me sabse jyada sochte hai..
jin lamho ke baare me sochne matra se man prafullit ho jata hai, unhi lamho ko panno pe utarana ek asambhav karya ban jata hai.....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
nice start!!
nywz regarding ur blog..osho kehte hain ki jab guru aur shishya maun baith-te hai..tab hi unke beech vastavik vartalaap hota hai..
aur sahi bhi hai..ki actual feeling to bas feel kee ja sakti hai..yadi shabdon mein bayan ho paaye to feeling ho hee nahin sakti..
Post a Comment