Sunday, July 1, 2007

Aaj tumse baate kar ke aisa laga ki shayad jo kai saalo pahle kho gaya tha wo mil gaya hai. Pata nahi kyu par aaj bat karne ke baad bada hi acha sa mahsus ho raha tha. Abhi tak un baato ki khushbu dil me samaai hui hai. aakhir kaun ho tum jo meri kuch bhi nahi ho ke bhi meri jindagi ke ek aham hissa banti ja rahi ho........

Tum janti ho na ki me kin paristhitiyo se gujar raha hu. Jindagi me sab kuch hote hue bhi kuch nahi hai. sirf har waqt ek khali pan sa hai aur kuch nahi. Ise bharne ki chah me bus main bhagta rahta hu, yaha se waha, wahan se yahan.....

Is suni-2 jindagi me kuch aisa mila hai jo lagta hai ki humara hai, jispe bharosa karne ko jee chahta hai aur jisko kabhi bhi ye dil chodhna nahi chahta. Aakhir kai saalo baad aisa lag raha hai ki ye sunaapan kuch khatm ho raha hai. Aur ho bhi kyu nahi, aakhir mera wo saathi mujhe mil gaya hai jiska mujhe na jaane kab se intzar tha...................

Saturday, June 16, 2007

wo masum si surat, wo bhola sa chehra, wo tirachi nigah se dekhna, dheeme se mjhe dekh k muskarana aur fir halke se hath mar k jaise mjhe neend se jagaana. hamari har mulakaat ki shuruaat aisi hi kyu hoti thi, me aaj tak nahi samajh paya. tum milti aur me jaise apni sudh-budh khone lagta. aisa lagta jaise ki tumhaare samne me main nahi rah jata tha. sirf tum rah jate the, aur me tum me kahi kho jata tha...................................

shayad hum dono ke beech kuch ankurit hone laga tha. shayad ek aisa rishta jise koi naam dena mere bhi mushkil tha aur tumhare liye bhi. hum dono hi k chahre ek dusre ko dekh k khil jaate the, par hum dono hi kisi aur k saamne apni baate karne se ghabraate the. kya tha ye. aisa kya saajha tha hum me jo hum kisi teesre k sath nahi baatna chahte the...

Aaj jab sochta hu to aisa lagta hai ki tum kahi mere paas hi ho, mere sath bethi ho, hamesha ki tarah mera hath thame. do saal ho gaye tumhe dekhe hue, aur pichle ek saal se tumhari koi khabar bhi nahi mili par abhi bhi aisa lagta hai ki tum yahi kahi ho, mujhme hi kahi ho.........

Abhi tak vishwas nahi hota ki hum itni asaani se alag ho gaye. shayad pyaar to bahut tha hamare beech, par kabhi use juban nahi de paaye. apni bhavnao ko kabhi shabdo me nahi dhal paaye aur isiliye aaj jab me khud ko dekhta hu to tumhe khone ka dukh saari khushiyo pe haawi ho jata hai.............

aisa lagta hai ki jaise kal ki hi to baat hai. tum wapas ja rahi thi, hamesha-2 k liye aur bus ke neeche me tumhare gamgeen chehre ko hansaane ki koshish kar raha tha. bus chalne ka waqt ho gaya aur tumhari un badi-2 aankho me aansu aa gaye. shayad jaane ka dukh tumhe bhi utna hi tha jitna mujhe chubh raha tha. aansu se bhari aankho aur bhar aaye gale se tumne poocha tha,"kuch kahoge nahi". aur mene tumhe hansaane ki koshish karte hue ek behad bachkana sa jawab diya," kya kahu, ab tum se nijat mil gayi, itne saalo se jhelna pad raha tha, ab din chain se katenge". tumhare honth to muskura uthe par aankho me aansuon ki nami aur gahri ho gayi aur ek dum se mujhe ye ahsas hua ki mene shayad apni jindagi ki sabse badi galti kar di hai........

Tum halke se hansi, wahi muskurahat jis pe jaan deta tha. aur fir mud k bus me beth gayi. me tumhe dekhta raha, kuch kahna chahta tha shayad par munh se shabdo ki jagah aankho se do aansu gaalo pe dhalak gaye. shayad wahi meri niyati thi, shayad tum bhi sab samajh gayi. Bus chali gayi aur me door tak bus ko dekhta raha. Us din me bhi roya aur mere sath aasman bhi, jisne toofani baarish ki jhadi lagaa di. shayad isliye ki koi mera rona sun na sake, shayad isliye ki koi mere aansu dekh na sake............

Tumne wada kiya tha ki tum pahunch ke phone karogi, aur hum hamesha baat karte rahenge. do saal ho gaye, mujhe tumhare phone ka intzar karte hue par aaj tak wo intzar khatm nahi hua. Har bar jab bhi ghanti bajti hai to aisa lagta hai ki tumhara phone hai par wo ahsas aur khushi kisi aur ki awaaz sun ke fir dafan ho jati hai. ek minute, phone buj raha hai. shayad ye tumahara hi phone ho.......................................

Friday, June 8, 2007

kya likhu

aaj jab likhne betha hu to sochta hu ki kya likhu.
jab sochta hu to man me vichar badlon ki tarah aate hai aur saawan ki baarish ki tarah mere antarman ko sarabore kar dete hai. par jab unhi vicharo ko likhna chahta hu to.........

aakir aisa kyu hota hai ki aap jeevan ke unhi panno ko shabd nahi de paate jin ke baare me sabse jyada sochte hai..

jin lamho ke baare me sochne matra se man prafullit ho jata hai, unhi lamho ko panno pe utarana ek asambhav karya ban jata hai.....